Desi Upchar For Batter Skin Or Assan Upaye Chahre Kwe Liye
- Neem ke patte ko paani mein ubale aur yeh pani chehre par lagaye. Neem ke patte ko pees kar chehre par lagaye aur aadhe ghante ke baad dho le.
- Neem ke paste mein haldi aur nimbu ka ras bhi mila sakte hai.
- Gavarpata yane ki fresh patti lekar isko beech mein se kate aur isko chehre par 10 minute tak ghise.
- Shahad uttam ilaj hai muhaso ke liye. Shahad mein dalchini powder dalkar paste banaye aur isko chehre par ghise achi tarah. 20 minute ke baad dho dale.
- Raat ko son eke pehle ek ya do lahsun ki kalo ko pees le aur is paste ko chehre par lagake so jaye. Subah dho de.
- Agar samay nahin hai to ek alu ko jhatpat kat le aur ek slice to thodi der tak chehre par ghiste rahiye.
- Dahi haldi ka paste banake lagane se muhase mit jayenge. Dahi mein lactobacillus hai jo antibacterial hai, aur lactic acid cleanser ka kaam karta hai.
- Khira aur kachcha papaya ka paste bhi muhaso ko mitane mein kaamyabi denge.
- Ek doosra upay hai jisme aap gulab ke phool ke patte ko pees kar, ismein do gylsrin boond milakar chehre par lagaye. Glycerine se paste moist rahega jis se gulab ke tatva tvacha par kam kar payenge aur muhase khol denge. Chahe to is mein chandan ka paste mila le.
No comments:
Post a Comment